Sunday, July 4, 2010

Sir Raja Amir Ka asal roop

Dear Readers,

Main Raja Amir Sahab ka asli chehra aap logo kay samnay lana chahta hoon. Sir Raja Amir sahab 3 different places par

apna institute chala rahay hain kahin par alzam kay naam say kahin par Sir Raja Amir Institute kay naam say. Main

nay aek din akhbar main un kay baray main parha phir un ka number dial kia jo kay 0333-2123730 hai aur unko bataya

kay main nay pehlay bhi IELTS dia hay magar mera required band nahin aya raja amir nay kaha kay kitna band require

hai main nay reply kia 7 in each paper of ielts sir nay reply kia kay 7 nahin 8 band ayeega aur mujh ko demo class ka time day dia. Main demo class kay time par phaounch gaya.

Main nay march, 2010 main admission liya tha magar sir nay mujh ko paper june main dil waya boltay thay kay tayari nahin hai. Aur advertisement main show kartay hain kay 5 hours main ielts ki tayari karo. woh booltay hain kay meery pass log lahore, islamabad,multan, verhari aur pata nahin kahan kahan say atay hain yea sab jhoot hai main khud unkay pass study kar chuka hoon kahin say bhi students nahin atay woh jhoot booltay hain. main nay evening main aur morning main doono time par classes attend ki hain.

Gharaz main nay sir raja amir ko paisay day dia Rs.15,000/- aur ielts ki tayari un hon nay shuru nahin ki un kay assistant Mr. Farooq nay ki. Sir Raja nay mujh ko kabhi nahin parhaya balkay humesha un ka assistant Farooq ya bhir aur doosray larkay hi study karwatay hain. Phir main nay registration karwa li ielts ki aur Rs.12,000/- main. is tharhan mera total kharcha Rs.27,000 ho gaya. Magar mera required band ielts main abhi bhi nahin aya dooston. Mera band ielts main 5 aya hai. Agar mujh ko 5 band hi lena tha tu main raja amir kay pass kiyon gaya. us kay pass tu woh log jatay hain jin ko 7 ya 8 band required hotay hain. Sir Raja Amir aek extreme kism ka jhoota aadmi hai.

Woh aek acha aadmi nahin hai. Dooston main aap logon say request karta hoon. kay us kay choongal main maat phaoonso.


Main nay Sir Raja Amir kay sath 5 months ka period guzara hai main achi tarhan say jaanta hoon us ko. woh aek acha aadmi nahin hai. Woh sirf baaton say logon ko cheat karta hai. Jaisay mujh ko cheat kia hai us nay.


5 months main sirf 2 students hain jo 7 band say kamiyab hoyee hain. Baqi sab fail hain. Agar main ielts ki proper study nahin kar paya main maanta hoon apni ghalti magar yea kaisay possible hai kay koi bhi students ielts main 7 band nahin laya. 5 months main pata nahin kitnay students ayee hain sir raja amir kay pass magar sab fail hoyee hain. Main aap logon say guzarish karta hoon kay us kay chehray ko pehchano. Aur apni mehnat ki kamai us ko mat doo.


Yours faithfully,
Faisal Ahmed